GHAYAL HOGAYE HAI , PAR HARI TU NAHI
Tham ja jindadi , lambi daud hai ruk jayegi tu , par manzil dur hai. Kabhi lagega tujhe tu khuda ka rup bankar aaye hai Toh kabhi lagega tujhe khuda ne kyu banaya hai tujhe Par ant me jeet hogi teri agar tera vishwas majbut hai. Kabhi aasmanon me udegi tu , Toh kabhi jameen k pattharon se takrayegi, Agar koshish karegi toh aage badh payegi tu Kabhi samne dikhegi roshni , toh kabhi andhere me kho jayegi tu, Agar khudka sath choda tune , toh bheed me bhi khudko akeli payegi tu. Kabhi zindagi k suhavane geet gayegi toh kabhi usi zindagi pe royegi tu Hosala hoga buland toh hi , zindagi ko jee payegi tu Kabhi tu khudko sabse aage payegi Toh kabhi tu khudko khel se bahar khada dekhegi Baji hogi teri agar tu aage badhte jayegi Hazar baar man karega tera ruk janeka, Kato se takrakar khun behega tera, Har din k sangarsh se, tu hogi bohot kamjoor, Par yaad rakh, Ghayal hogaye hai tu, par hari tu nahi. - Uma